'Ki Aaj' - Part 2
Ki pyaar tera bahut hi alag sa kuch raha
Ki jarurat nahi thi tujhe mujhe paane ya khone ki
Ki jud gaye the yunki hum bina kisi bahane ke
Sath rehne ki koi wajah jaruri na thi
Ki aaj bhi yeh ruh tere ehsaas par mahak rahi
Ki koi aur ispe apna haq kabhi na payega
Ki nazaron mein ek lau aaj bhi hai jal rahi
Adhuri hamari batein khud hi khud mein kahin ghul rahi
Ki afsos nahi hai hume aaj kisi bhi baat ka
Ki dil hi dil mein ab tak teri jhalak kahin pighal rahi
Ki yaad ab nahi hai ki sath hum kitna rahe
Kuch pal ke us sath mein har sham ab hai dhal rahi
Ki gurur sa hai ho gya ke tum kabhi toh the mile
Ki yeh pyaar khtam na hoga ab, bhale hi ab tum nahi
Ki soch mein hi ab sahi, sath hain par alag nhi
Yeh jism toh bas rakh hai, ruhaniyat-e-maujudgi mein ab teri...
yeh zindagi ubhar rahi
Labels: Blogger, Feelings, Hindi Poetry, Kachi Soch, kavita, Ki Aaj, Kritika Mehta Writes, Poem, Poetry, Shayeri