"Aziyat"
Maum si zindagi hai
Tarra-tarra pighal
rahi
Khoobsurat toh bahut
hai
Na jane kyun phir
bhi
Til-til si jal rahi
Har subh khwahishon
ka maidan hai
Har rat khali ek
makaan hai
Badi shidat se har
kisi se mil rahi
Na jane kon si phir
bhi takleef hai
Jo khud hi khud mei
ghul rahi
Milti nahi kisi se
rubaroo ho ke
Log kehte hai sab
toh sahi hai
Hum hi jante hai
kaise
Har nas mei kisi
haqiqat si chub rahi
Suljhi is zindagi
ki zameen par
Har taraf se uthti
leharon si machal rahi
Bebak hasi ke bich
ek choti si chubhan si
Kashmakash ka
janjaal bun rahi
Kabhi puri khud mei
simat-ti bhi nahi
Kabhi ghat-ti bhi
nahi
Chalak jaye kabhi
toh is pyale se jism se
Sharab ki tarah rag-rag mei chad rahi
Khud ki aziyat se
bekhabar hai
Kya kahe ise samjhane
ki justaju kis kadar badh rahi
Khoobsurat toh bahut hai
Na jane kyun phir bhi
Til-til si jal rahi
Na jane kyun...
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home