"Aisa bhi ho jaye kabhi"
Koi hume bhi khone se ghabraye kabhi
Koi hume bhi kaise bhi paana chahe kabhi
Sachi nahin agar baatein kitabon ki
Toh bhi koi uss duniya mein le jana chahe kabhi
Koi bina mile na rehna chahe kabhi
Hume manane ke lakhon tarike dhund laye kabhi
Zindagi toh har kisi ki bandhi hui hai
Tod ke sab humse milne koi aaye kabhi
Koi yunhi humse milna chahe kabhi
Din rat bataon mei ghulna chahe kabhi
Chaand taron par toh bas kisi ka nahi
Par koi kuch bhi kar ke hume hasana chahe kabhi...
Labels: Hindi Poetry, Kabhi, Kalam Se, kavita, Life, Love, Poem, Poetry, Relationship
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home