Thursday 10 November 2016

Kacha Ehsaas


Ek kaccha sa ehsaas tha
Dab gaya tha kahin
Phir mehsoos naa ho kabhi
Zindagi ke shor mein kho gaya tha kahin

Bade ho gaye na jane kitne
Har ehsaas ko chaanne lage
Umar ke sath khud ko kam se kam pehchanne lage
Milte hi kisi ko das chiz parakhne lage
Phir soch samajh ke kuch mehsoos karne lage

Aur is pakki zindagi mein
Naa jane kyun phir tum se mulakat ho gayi
Phir ji liye kuch pal us kache ehsaas mein
Khud ki masoomiyat se jaise phir se mulakat ho gayi

Waqt itna kam mila ab bhi
Par kuch is kadar gum ho gaye hum tum mein
Jaise sadiyon ke fasle do pal mei kat gaye
Jitna ho sake tujh mein hum simat gaye

Phir muthi se fisal na jaye kahin
Dab na jaye kahin
Ehsaas ko bhi wajah chahiye hoti h aajkal
Bewajah jo ho raha hai
Vo phir kabhi hoga nahi
Par ab Jo ho raha hai
Toh khul kar ise jile abhi...

Labels: , , , , , , , , ,

1 Comments:

At 11 March 2017 at 02:32 , Anonymous App Development Company India said...

What you're saying is completely true. I know that everybody must say the same thing, but I just think that you put it in a way that everyone can understand. I'm sure you'll reach so many people with what you've got to say.

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home