"Aur Tum"
Chehre Ko Chuta Hawa Ka
Jhonka
Kadmon Ko Chuta Khara Paani
Suraj Ki Satrangi Kirnne
Aur Tum
Kuch Khamoshiyan
Kuch Besir Paer Ki
Batein
Haaton Se Fisalti Ret
Aur Un Sabke Beech Tum
Zindagi Ki Andhi Raftaar
Kuch Ukhde Sawaal
Lakhon Pabandiyaan
Aur Tum
Aankhon Mein Kayin Khwab
Shartein Behisaab
Mera Bebak Pyaar
Aur Sabke Beech Tum
Labels: Aur Tum, Hindi Poetry, kavita, Kritika Mehta Writes, Poem, Poetry
2 Comments:
VERY HEART TOUCHING,
KEEP IT UP.
MAY GOD BLESS YOU.
REGARDS,
SHARAD
Thanks :-)
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home